aap ke hathon ne samjha mar ke qabil mujhe main nigodi to ye samjhi mil gai manzil mujhe mujh ko na-manzur hai aap ka ye faisla tod di meri kamar ai banda-parwar aap ne apni bhedon bakriyon mein kar liya shamil mujhe aap ke hathon ne samjha mar ke qabil mujhe samne sare jahan ke kar diya ghail mujhe aap ke hathon ne samjha mar ke qabil mujhe pad gain munh par mere hath ki parchhaiyan kan mein bajne lagin saikdon shahnaiyan do jahan ki aaj choten ho gain hasil mujhe aap ke hathon ne samjha mar ke qabil mujhe