tumhaari mohabbat ko zindagi dene ke liye main ne to apne sare but tod liye magar tum ne jawaban apne kabe par ghilaf chadha liya faqat tawaf se meri tashaffi nahin ho sakti main kaise tumhaare andar jhankun bebasi ne mujhe meindak bana diya hai main apni zat ke kuen mein pada hun aur khwahish mere khun mein rassi ki tarah latak rahi hai main kapdon mein bhi fuhash kahlaya to libas meri qaid kyun hai mujhe rangat nahin ehsas darkar hai kyunki aankhon se ziyaada mere hath pyase hain lazmi nahin sirf aankh se roya jae aur rone ke liye behtarin jagah washroom hi ho sakti hai jahan mein apni nim-libasi thuk kar tumhaare nam ka ghusl kar sakta hun