nim tarik mohabbat ki dil-awezi mein jagmagati hai teri yaad ki mauhum kiran chamak uthta hai tere dard mein duba hua chand tujh ko chhune ki tamanna mein guzarte baadal mere hathon ki lakiron mein thahar jate hain kisi pur-shor samundar ka talatum le kar chandni aa ke dil o jaan pe bikhar jati hai nahin malum ki wo phul kahan khilte hain jin ki khushbu meri aankhon mein utar jati hai nim tarik mohabbat ki dil-awezi mein log kahte hain ki ek umr guzar jati hai