ek khushbu dard-e-sar ki murjhai kaliyon ko khilae jati hai zehn mein bichchhu ummidon ke dank lagate hain hichki le kar phir khud hi mar jate hain dil ki dhadkan sachchai ke talkh dhuen ko gahra karti paiham badhti jati hai pet mein bhuk dakaren leti rahti hai phir rag rag mein suiyan ban kar bhagi bhagi phirti hai pure jism mein dard ka ek lawa sa bahta rahta hai aisa mujh ko lagta hai jaise main aakhiri qai mein is duniya ki sari ghizaen khwab o haqiqat ki aalaish aadarshon ki mithi sharaben ek be-mani kashish mein uljha ye jiwan sara ka sara ugal dunga shayad mujh ko is lamhe nirwan mile