wo kuchh doshizgan-e-naz-parwar khadi hain ek bisati ki dukan par nazar ke samne hai ek mahshar aur ek mahshar hai mere dil ke andar sunahra kaam rangin sariyon par bisat-e-asman par mah-o-akhtar jamal-o-husn ke pur-roab tewar numayan chand si peshaniyon par wo rukhsaron pe halki halki surkhi labon mein pur-fishan ruh-e-gul-e-tar siyah zulfon mein ruh-e-sumbulistan nazar sar-chashma-e-tasnim-o-kausar ada-e-naz gharq-e-kaif-e-sahba siyah mizhgan sharab-aluda nashtar chamak taron ki chashm-e-surmagin mein jhalak chandi ki jism-e-marmarin mein wo khushbu aa rahi hai pairahan se faza hai dur tak jis se moattar tabassum aur hansi ke narm tufan fazaon mein musalsal barish-e-zar nishat-e-rang-o-bu se chur aankhen sharab-e-nab se labrez saghar wo mehraben si sinon par numayan faza-e-nur mein cupid ke shah-par nafas ke aamad-o-shud se talatum shab-e-mahtab mein jaise samundar sitaron ki nigahen jhuk gai hain zamin phir khanda-zan hai aasman par koi aaina-dar-e-husn-e-faras kisi mein husn-e-yunani ke jauhar kisi mein aks-e-masum-e-kalisa kisi mein partaw-e-asnam-e-azar ye shirin hai wo naushaba hai shayad nahin yan farq-e-farhad-o-sikandar ye apne husn mein azra-e-wamiq wo apne naz mein salma-e-'akhtar' ye tabani mein khurshid-e-darakhshan wo ranai mein us se bhi fuzun-tar hansi us ki tulu-e-subh-e-khandan nawa us ki surud-e-kaif-awar ye shola-afrin wo barq-afgan ye aaina-jabin wo mah-paikar wo jumbish si hui kuchh aanchalon ko wo lahren si uthin kuchh sariyon par khiram-e-naz se naghme jagati wo chal din ek jaanib muskura kar kisi ki hasraten pamal karti kisi ki hasraten ham-rah le kar kabhi aankhen dukanon par jami hain kabhi khud apni hi barnaiyon par idhar hum ne ek aah-e-sard khinchi hansi phir aa gai apne kiye par