pahlu-e-shah mein ye dukhtar-e-jamhur ki qabr kitne gum-gashta fasanon ka pata deti hai kitne khun-rez haqaeq se uthati hai naqab kitni kuchli hui jaanon ka pata deti hai kaise maghrur shahanshahon ki taskin ke liye sal-ha-sal hasinaon ke bazar lage kaise bahki hui nazron ke tayyush ke liye surkh mahlon mein jawan jismon ke ambar lage kaise har shakh se munh-band mahakti kaliyan noch li jati thin tazin-e-haram ki khatir aur murjha ke bhi aazad na ho sakti thin zill-e-subhan ki ulfat ke bharam ki khatir kaise ek fard ke honton ki zara si jumbish sard kar sakti thi be-laus wafaon ke charagh lut sakti thi damakte hue hathon ka suhag tod sakti thi mai-e-ishq se labrez ayagh sahmi sahmi si fazaon mein ye viran marqad itna khamosh hai fariyaad-kunan ho jaise sard shakhon mein hawa chikh rahi hai aaise ruh-e-taqdis-o-wafa marsiyan-khwan ho jaise tu meri jaan mujhe hairat o hasrat se na dekh hum mein koi bhi jahan-nur o jahan-gir nahin tu mujhe chhod ke thukra ke bhi ja sakti hai tere hathon mein mere hath hain zanjir nahin