qadam chaaliswin manzil mein us yusuf ne jab rakkha to pahuncha karwan-e-wahi aawaz-e-jaras ho kar ki dil to jag utha aankhon mein ghaflat nind ki chhai hua sine mein is se maujzan ek lujja-e-irfan ki tab is jazr-o-mad ki fitrat-e-insan nahin lai badha josh is ka badh kar sahil-e-aflak tak pahuncha uthi mauj is se uth kar arsh ki zanjir khadkai jharoka arsh ka ruhul-qudus ne khol kar dekha to nikla muddaton ka rabt barson ki shanasai huin jari zaban par aayaten wo nur ki jis par fida ho lahn-e-daudi-o-anfas-e-masihai