kya ab bhi wahan ka har shair tanqid ka mara hai ki nahin iflas ki aankh ka tara hai wo raj-dulara hai ki nahin wo ek ghasiyara hai ki nahin o des se aane wale bata kya ab bhi wahan par ganja-sar scholar samjha jata hai kya ab bhi wahan ka har m-a 'ghaalib' par kuchh farmata hai aur jail ki zulmat mein kho kar 'iqbaal' se bhi takraata hai o des se aane wale bata kya ab bhi wahan ke sab shauhar raaton ko chhup kar rote hain kya ab bhi wo qismat ke mare daftar mein aksar sote hain tanon ka nishana bante hain jab ghar mein kabhi wo hote hain aakhir mein ye hasrat hai ki bata rehana ke kitne bachche hain rehana ke 'wo' kis haal mein hain kya ab bhi wo pension pate hain kuchh baal to the jab main tha wahan kya ab wo mukammal ganje hain o des se aane wale bata