kisi daraaz mein padi hongi meri aankhon se lipti roghni putliyan jin pe bohtan hai habs-rasida kamre ki siskiyan kat khane ka tanomand khatun ki tarsib-zada ranon ke beach tasadum ke halqe mein pada zard silan ke khol mein rakhne bunta shahr-e-madum ka lasha nochte khuda ko ghurta hua main khuda jo surkh doshiza ke badan par kunda bosa-gahon ke manind muqaddas siyah-mast mallah ki aurat mere sine pe sar rakhte hue chinghadti hai wo jahaz ke mastul se kud kar mara tha jang ke dinon mein purtagali hasina se mulaqat wo yaqinan mujhe mubtala kar sakti thi magar hum jaziron se khali hath lautne wale qasam khate hain hamare pas mashkizon mein saste gud ki sharab hai aur kuchh dost jo wafar miqdar mein tambaku uga rahe hain sartani rutubaton mein luthde hamare takhne barud se zakhmi hain hum apne bazuon se jhadte hue baal tumhein dikha sakte hain nam-khurda banduqon aur nakara jeepon ke alawa hamare qabze mein chand ladkiyan aur rasad-khane hain dhajjiyan aur chithde sametne ko nahif ungliyan ziyaada nahin hain nichli daraaz se meri bohtan zada aankhen nikal lao mere bachche kash tumhein jawani mein maut aa jati