apni mohabbat ke han karne chhup ke nikah ke do bolon par khush hone aur us hi khushi mein apne hathon ko mehndi se rangne wali har-pal shokhi se muskati pagal ladki is mehndi ka rang phika padne se pahle tere sayyan chhod ke baiyyan apni ek nai duniya mein magan hue hain ek do din mein tujh se jo kuchh lena hai wo sab kuchh le kar aur talaq ki kalak tere munh par mal kar mahr ke nam par ehsan kar ke tujh ko aisa zer karenge ki sab shokhi aankhon mein maujud ye masti teri hasti sab kuchh bas ek pal mein ulta ho jaega teri qismat ke dukh jitne sanjida hain pagal ladki tu bhi yak-dam waisi hi sanjida hogi