main tere shahar mein phirta hi raha sargardan shah-rahon ke har ek mod pe hairan hairan aabla-pa jigar afgar karan ta-ba-karan isi ummid pe shayad ki koi pahchane justuju ek bagule ke anasir chhane shauq-e-ruswa ki pazirai ke hun afsane lekin is shahr-e-sitam-pesha mein kuchh bhi na hua meri jaanib koi gul-posh daricha na khula kisi aanchal kisi badli ki na umdi chhaya na koi dast-e-saba tha na kahin bu-e-habib baam-dar-baam thi be-mehr nigahon ki salib har jharoke mein thi ek sham mah-o-khur ki raqib sail-e-wahshat ko chhupae mein guzarta hi raha ek be-rabt fasana tha bikharta hi raha dahna-e-waqt rag-o-pai mein utarta hi raha aakhir ek ku-e-malamat mein qadam aa pahunche nawak andazon ke andaz mein gham aa pahunche khair-maqdam ko safiran-e-sitam aa pahunche phenk kar chashm-e-faramosh ka pahla patthar tu ne bas ghurfa-e-ummid se dekha chhup kar ek diwane pe pathraw ka khuni manzar sang uthte hi rahe hath lapakte hi rahe aankh roti hi rahi sharm-e-shanasai ko kisi laila ki taraf se ye munadi na hui koi patthar se na mare mere saudai ko