saba hamare rafiqon se ja ke ye kahna ba-sad tashakkur-o-ikhlas-o-husn-o-khush-adabi ki jo suluk bhi hum par rawa hua us mein na koi ramz nihan hai, na koi bulajabi hamare waste ye raat bhi muqaddar thi ki harf aae sitaron pe be-charagi ka libas-e-chaak pe tohmat qaba-e-zarrin ki dil-e-shikasta pe ilzam bad-dimaghi ka saba jo rah mein dushman milen to farmana ki ye to kuchh na kiya ho sake to aur kare ki apne dast-e-lahu-rang par nazar dale ki apne dawa-e-masumiyat pe ghaur kare hadis hai ki usulan gunahgar na hon gunahgar pe patthar sambhaalne wale aur apni aankh ke shahtir par nazar rakkhen hamari aankh se kante nikalne wale