pahle fan dast-o-gareban hain karan-ta-ba-karan

pahle fan dast-o-gareban hain karan-ta-ba-karan
sar-nigun baithi hui hai khak par urdu zaban
kashti-e-urdu-zaban ke na-khudao kya hua
ilm-o-fan sher-o-sukhan ke rahnumao kya hua
kya hui wo azmaten kuchh to batao kya hua
pichhe hatti ja rahi kyun saf-e-charagharan
sar-nigun baithi hui hai khak par urdu zaban
dekhiye jis ko bhi ab to ham-sar-e-ghaalib hai wo
shair-e-azam hai aur eazaz ka talib hai wo
hai ghalat-go phir bhi har ek sinf mein saib hai wo
likh raha hai khud hi apni azmaton ki dastan
sar-nigun baithi hui hai khak par urdu zaban
numberon se aur goshon se rasail bhar gae
is zawal-e-ilm se khud ilm wale dar gae
naql ne bazar luta asl apne ghar gae
be-adab logon ne kholi hai adab ki ek dukan
sar-nigun baithi hui hai khak par urdu zaban
This is a great urdu shayari on zindagi. True lovers of azam jafri shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore ghalib shayari in hindi on life. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close