yahi jagah thi yahi din tha aur yahi lamhat saron pe chhai thi sadiyon se ek jo kali raat isi jagah isi din to mili thi us ko mat isi jagah isi din to hua tha ye elan andhere haar gae zindabaad hindostan yahin to hum ne kaha tha ye kar dikhana hai jo zakhm tan pe hai bhaarat ke us ko bharna hai jo dagh mathe pe bhaarat ke hai mitana hai yahin to khai thi hum sab ne ye qasam us din yahin se nikle the apne safar pe hum us din yahin tha gunj utha wande-matram us din hai juraton ka safar waqt ki hai rahguzar nazar ke samne hai sath mil ka patthar koi jo puchhe kiya kya hai kuchh kiya hai agar to us se kah do ki wo aae dekh le aa kar lagaya hum ne tha jamhuriyat ka jo paudha wo aaj ek ghanera sa uncha bargad hai aur us ke sae mein kya badla kitna badla hai kab intiha hai koi is ki kab koi had hai chamak dikhate hain zarre ab aasmanon ko zaban mil gai hai sare be-zabanon ko jo zulm sahte the wo ab hisab mangte hain sawal karte hain aur phir jawab mangte hain ye kal ki baat hai sadiyon purani baat nahin ki kal talak tha yahan kuchh bhi apne hath nahin wideshi raj ne sab kuchh nichod dala tha hamare desh ka har kargha tod dala tha jo mulk sui ki khatir tha auron ka muhtaj hazaron chizen wo duniya ko de raha hai aaj naya zamana liye ek umang aaya hai karodon logon ke chehre pe rang aaya hai ye sab kisi ke karam se na hai inayat se yahan tak aaya hai bhaarat khud apni mehnat se jo kaamyabi hai us ki khushi to puri hai magar ye yaad bhi rakhna bahut zaruri hai ki dastan hamari abhi adhuri hai bahut hua hai magar phir bhi ye kami to hai bahut se honthon pe muskan aa gai lekin bahut si aankhen hai jin mein abhi nami to hai yahi jagah thi yahi din tha aur yahi lamhat yahin to dekha tha ek khwab sochi thi ek baat musafiron ke dilon mein khayal aata hai har ek zamir ke aage sawal aata hai wo baat yaad hai ab tak hamein ki bhul gae wo khwab ab bhi salamat hai ya fuzul gae chale the dil mein liye jo irade pure hue ye kaun hai ki jo yaadon mein charkha katta hai ye kaun hai jo hamein aaj bhi batata hai hai wada khud se nibhana hamein agar apna to karwan nahin ruk pae bhul kar apna hai thodi dur abhi sapnon ka nagar apna musafiro abhi baqi hai kuchh safar apna