pani ko istimal karo ehtiyat se aur is ki dekh-bhaal karo ehtiyat se pani to ek neamat-e-parwardigar hai pani mile to bagh hai rang-e-bahaar hai pani se lala-zar rah-e-khar-dar hai pani ka har kisi ko yahan intizar hai pani ko istimal karo ehtiyat se aur is ki dekh-bhaal karo ehtiyat se pani mile to rahti hai kheton mein zindagi pani se hai kisan ki aankhon mein raushni pani se hi zamin ki mitti mein hai nami pani se dur hoti hai har ek ki tishnagi pani ko istimal karo ehtiyat se aur is ki dekh-bhaal karo ehtiyat se pani badi hi qimti daulat hai be-guman pani se hai hamare badan mein lahu rawan pani se bij hota hai zer-e-zamin jawan pani agar mile to hai sahra bhi gulsitan pani ko istimal karo ehtiyat se aur is ki dekh-bhaal karo ehtiyat se allah ka karam hai jo pani hamein diya lazim hai shukr us ka kare har koi ada kab hoti zindagi jo wo pani na bhejta hota zamin ka to nazara hi kuchh juda pani ko istimal karo ehtiyat se aur is ki dekh-bhaal karo ehtiyat se har jaan-dar karne laga hai yahi sawal pani agar na hota to kya hota apna haal gar ehtiyat hum na karenge to hai wabaal ab aane wali naslon ka kuchh to karo khayal pani ko istimal karo ehtiyat se aur is ki dekh-bhaal karo ehtiyat se