paper-weight thos shishe ka bana hua hai jis ke andar phul hain jaise samundar ki tah mein khilte hain aath jal-pariyan hain jo raqs kar rahi hain paper-weight is liye hai ki kaghaz ko hawa ki zad se mahfuz rakhe paper-weight ek sayyara hai jis mein log rahte baste hain lekin paper-weight in sab baaton se be-khabar hai use to sirf shaeri ki aankh ne zindagi di aur mar diya