paranoia

hawa ne chupke se
ek paude ke kan mein

kya na jaane phunka
ki khil utha wo

hasin rangon ko khud pe odhe
laja raha hai

zamin se nazren chura raha hai
magar use kya khabar

hawaon ke rukh badalte hain
aur badli hawa ke jhonke

use khizan ke sipurd kar ke
guzar rahenge

magar ye mausam bahaar ka hai
so main bhi chup hun

hasin mausam ke dhoke khana bhi
khush-nasibi ki baat hai na


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close