ek pal had-e-nigah chikni kali sadak daen aasman se baaten kartin imaraten baen zamin ki qadam-bosi karti jhonpadiyan upar nilgun be-karan aasman aur is par giddhon ki baraat mutajassis nigahen chaaron jaanib dekhtin mayusi daman pakadti phir udas chashm-e-hairan ummid ki kiran thame chaaron jaanib bhatkin magar ek bhi kabutar nahin dikha hazaron sawalat hawa mein lahrane lage kya kabutar parwaz bhul gae ya ek bhi kabutar nahin raha ya giddhon ne unhen noch khaya