pas-e-parda

zaban hili ki gira sar pe jhulta khanjar
muaf ho na sakegi khata-e-shokh-labi

salamti hai isi mein ki be-adab na bano
bade jatan se ye mahfil sajai jati hai

ek ek bhed ki qimat chukai jati hai
ridaen sarkengi pighlega chilmanon ka jalal

na-jaane samne aaengi kitni taswiren
sulagti hairaten chatkhengi aainon ki tarah

jo dekhna use palkon mein dafn kar dena
badhe hudud-e-nazar se na karwan-e-khayal

hai jurm-e-ba-khabari ek azab se bhi siwa
ye jaan bhi na sakoge kidhar se tir aaya

bisat-e-shakh pe un ko qarar kya aae
bahaar aur hai un ki numu hai aur un ka

ye jism khulte hain zarkar bazuon ke liye
chatak ki gunj hai ruswa-e-saut-o-rang magar

zaban hili ki gira sar pe jhulta khanjar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close