isi akele pahad par tu mujhe mila tha yahi bulandi hai wasl tera yahi hai patthar meri wafa ka ujad chatyal udas viran magar main sadiyon se, is se lipti hui khadi hun phati hui odhni mein sansen teri samete hawa ke wahshi bahao par ud raha hai daman sambhaala leti hun pattharon ko gale laga kar nukile patthar jo waqt ke sath mere sine mein itne gahre utar gae hain ki mere jite lahu se sab aas pas rangin ho gaya hai magar main sadiyon se is se lipti hui khadi hun aur ek unchi udan wale parind ke hath tujh ko paigham bhejti hun tu aa ke dekhe to kitna khush ho ki sang-reze tamam yaqut ban gae hain damak rahe hain gulab patthar se ug raha hai tongue of stone