maqam-e-haq hai bila-shak maqam-e-azadi buland arsh se bhi kuchh hai baam-e-azadi na ho sakega kabhi mohtaram jahan mein tu jo tere dil mein nahin ehtiram-e-azadi suna raha hai tujhe inqilab-e-dahr jo kuchh sun aur ghaur se sun wo payam-e-azadi kahan talak ye tabahi ki zindagi ghafil uth aur jald bana ek nizam-e-azadi uth aur hath mein le tegh-e-be-niyam-e-amal ki hai wasila-e-fauz-o-maram-e-azadi ye zindagi hai teri maut se siwa bad-tar khuda ke waste kar ehtimam-e-azadi ghalat hai ye jo ghulamana zehniyat ke sath paka raha hai tu sauda-e-kham-e-azadi pukar yun teri hargiz suni na jaegi zaban-e-tegh se kar bas kalam-e-azadi watan se lanat-e-sarmaya ko fana kar de jo chahta hai baqa-e-dawam-e-azadi hata de parda-e-tarik jabr-o-istibdad ki nur-bar ho mah-e-tamam-e-azadi