aangan mein ek shajar hai dalan mein hawaen kamre mein ek ladki ujli udas ladki water-color se dil pe patte bana rahi hai itne mein ped aaya kamre mein ped aaya patte gira ke bola bahar hawa bahut hai ladki thi pahle ujli ab pili ho gai hai phir chand pal bite dakhil hui hawaen patte uda ke bolin andar hawa bahut hai ladki thi pahle pili ab lal ho gai hai wo lal lal ladki ab be-qarar ho ke water-color ka dabba dil mein kahin chhupae aanchal mein kuchh hawaen daman mein chand patte dalan se guzar ke aangan ko par kar ke maidan-e-nauha-khwan mein aa ke thithak gai hai maidan-e-nauha-khwan mein ek canwas rakha hai is canwas ke dil pe water-color mein bhiga phagun ka har hara hai kab se wo jal raha hai!