ghar ke naqsh-o-nigar ki surat naqsh hai dil pe yar ki surat uf ye dam todti hui shamen ankhdiyon mein khumar ki surat har dariche mein hai charagh ka gul ab hai ye intizar ki surat ab dhadakta hai bar bar dimagh dil-e-be-ikhtiyar ki surat bas yunhi aate jate milte hain hum bhi lail-o-nahaar ki surat us ka aana bhi ek qayamat tha mahshar-e-intizar ki surat gard ki tarah baith jaenge jo uthe hain ghubar ki surat apni mahrumiyon ka jashn manaen aao jashn-e-bahaar ki surat ye sadi bhi guzar hi jaegi shutar-e-be-mahaar ki surat wan bhi sahti hai dhup ki yalghaar shajar-e-saya-dar ki surat sar-e-tufan guzar lo 'naqwi' ek yahi hai qarar ki surat