barf be-mausam giri chattan se maidan tak be-darakhton ki zamin be-un bhedon ke liye zinda rahna aur marna donon mushkil ho gae aankh be-manzar khala ko takte takte thak gai waqt ki raftar ko batlane wali suiyan hindison ki be-sila bekar gardish karte karte ruk gain aade tirchhe unche niche raste barf ki moti tahon mein chhup gae phir safar be-samt be-manzil hua barf ke ujle badan ki munhani nili ragon mein kaun suraj ban ke daude kis tarah ye barf pighle aag ba-shola hui phir safar be-samt be-manzil hua be-un bhedon ke liye zinda rahna aur marna donon mushkil ho gae