suna suna sa hai kyun aaj jahan-e-urdu uth gaya kahte hain ek pir-e-mughan-e-urdu jis ko dhundenge sada tishna-laban-e-tahqiq roenge barson jise dida-waran-e-urdu rah-rau rah-guzar-o-rahbar-e-urdu-e-qadim warna milta tha kise nam-o-nishan-e-urdu chhin gai ahl-e-watan ek mata-e-tahqiq ai dakan lut gai phir teri dukan-e-urdu aakhiri tir bhi tarkash ka hua rah-e-sipar tut kar rah gai lo aaj kaman-e-urdu kaun hota hai harif-e-mai-e-mard-afgan-e-ilm kis ke sar jaega ab bar-e-giran-e-urdu