post-traumatic stress disorder

kai raaten wahan bedroom mein baithi hui hain
na soti hain na kuchh kahti hain baithi ghurti hain

kabhi diwar par chipki akeli chhipkali ko
kabhi pankhe ke upar jal bunti makdiyon ko

kitaben farsh par murda padi hain aur un ke pas
kai misre kai kirdar baithe ro rahe hain

hain kuchh bechainiyan jo balcony mein hi khadi hain
ajab si ek rhythm mein sans bharti chhodti si

kai khud-kush khayalon ne wahin dera kiya hai
magar ek aas un ko kudne se rokti hai

kitchen ke sink mein baithi hai ek basi si badbu
kisi ko bhi wahan aane se bharsak rokti hai

magar ek pyas aa jati hai fridge tak rengti si
jo dubi ghunt-bhar pani mein til til mar rahi hai

hai ek afsurdagi jo sare ghar mein ghumti si
kabhi bechainiyon se mil ke sina pitti hai

kabhi roti hai yaadon ke gale lag kar phaphak kar
kabhi dalan mein ja kar wo cigarette phunkti hai

main pure ghar ko baitha dekhta hun ek kone se
gaya ek shakhs aur ghar mein mere majma laga hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close