lekin wo nahin gaya use malum hua ki us ki man bistar-e-marg par padi hai aur shayad chand dinon ki mehman hai lekin wo nahin gaya ye waqt aisa hota hai jab marne wala pichhe rah jaane walon se aur zinda rah jaane wale aage jaane walon se apni apni ghalatiyon ki muafi mangte hain aur bachche apni maon se dudh bakhshawane daude chale aate hain lekin wo phir bhi nahin gaya wo ajib makhmase mein pad gaya agar us ne dudh nahin piya to thik hai lekin agar piya hai to dudh josh kyon nahin marta use sab yaad aa raha tha bap hi ne use pala-posa us ka bachpan aur bap ki jawani sath sath guzre us ki nau-khez umri aur bap ki adhed umri ek sath aae bap bade shauq se us ki shadi ke bare mein soch raha tha ki qatl ho kar rahi-e-mulk-e-adam ho gaya aur wo mabhut akela khade ka khada rah gaya us ki shadi karobar naukri hatta ki us ke bachchon se us aurat ka jise ab wo man samajhne laga tha bas itna hi ta'alluq raha jitna ki kisi bhi dusre shakhs ka ho sakta hai yahan tak ki aaj us ki ye man bhi mar gai janaze par jaana bekar laga aaj kyon kis ke liye kisi ne kan mein kaha marne walon se kya ikhtilaf wo to un ke sath hi khatm ho jate hain han zindon se mumkin hai mayyat ke sirhane baitha to ruh ke sare charagh ek ek kar ke raushan ho gae wo tamam umr us aurat ke pyar hi nahin us ki duaon ko bhi tarasta tha aur ab tarasta hi rahega yak-dam us ke badan ne jhurjhuri li aur nafrat ki ruh jaise hamesha ke liye parwaz kar gai log qabr ko mitti de rahe the us ne bhi chhe dahaiyon se mitti mein pakdi apni chahat ki agli potli aahistagi se ludhka di