bistar par mutthi bhar haddiyan rah gain to masiha ne bataya ab mitti par zyaada haq mitti ka hai so hum ne mitti par mitti lip kar us par ek charagh ka katba likkha raat!!! subh tak hawa phunkti phirti thi aur sitare hamari hatheliyon par pade maile hote rahe aansuon ko sabr ka kafan kahan se den phul apni khushbu chhodta hai hansi nahin chhodta gham-zado!!! charagh aankhon ko saunp do ki aansu sirf charagh rota hai jis hath par charagh dhara tha wo hath hamari chhat tha dar-o-diwar par chhat na rahe to baadal bhi hausla haar dete hain tumhaare aasman par rote hue khayal aaya mera aasman bhi kitna budha ho gaya hai kuchh aansu bacha le mere dost!