kitni achchhi pyari baji pyari pyari pyari baji achchhe achchhe git sunae pyare pyare git sunae ek tha raja ek thi rani roz kahe dilchasp kahani bujhe hai dilchasp paheli achchhi dost hai pyari saheli kitne qisse yaad hain us ko khub latife yaad hain us ko mujh ko khub hansae baji roun to bahlae baji kitni achchhi pyari baji pyari pyari pyari baji gudiya ka jab byah rachae sab bachchon ko sath khilae bagh mein ja kar jhula jhule mauj mein aa kar dali chhu li khele mil-jul aankh-micholi bole sab se pyar ki boli khele par school se pahle ruk jae har bhul se pahle padhne mein hoshiyar hai baji khel mein bhi tayyar hai baji kitni achchhi pyari baji pyari pyari pyari baji mukhda us ka bhola-bhaala dant us ke moti ki mala hans de to phul-jhadiyan chhute baat karen khul jae bute pyari pyari baaten us ki rahbar sari baaten us ki sab ko achchhi baat batae sab ko sachchi baat sikhae sachchi chah jatae baji sidhi rah dikhae baji kitni achchhi pyari baji pyari pyari pyari baji