dur se chal ke aaya tha main nange panw nange sar sar mein gard zaban mein katne panw mein chhaale hosh the gum itna pyasa tha main us din jitna chah ka mara ho chah ka mara wo bhi aisa jis ne chah na dekhi ho itne mein kya dekha main ne ek kuan hai suthra sa jis ki man hai pakki unchi jis par chhanw hai pedon ki chadh kar man par jhanka main ne josh-e-talab ki masti mein kitna gahra itna gahra jitni hijr ki pahli raat kaisa andha aisa andha jaisi qabr ki pahli raat kankar le ke phenka tah mein pani ki aawaz na aai us ka dil bhi khali tha