pyas ki aag

main ki hun pyas ke dariya ki tadapti hui mauj
pi chuka hun main samundar ka samundar phir bhi
ek ek qatra-e-shabnam ko taras jata hun
qatra-e-shabnam-e-ashk
qatra-e-shabnam-e-dil khun-e-jigar
qatra-e-nim-nazar
ya mulaqat ke lamhon ke sunahri qatre
jo nigahon ki hararat se tapak padte hain
aur phir lams ke nur
aur phir baat ki khushbu mein badal jate hain
mujh ko ye qatra-e-shadab bhi chakh lene do
dil mein ye gauhar-e-nayab bhi rakh lene do
khushk hain hont mere khushk zaban hai meri
khushk hai dard ka, naghme ka gulu
main agar pi na saka waqt ka ye aab-e-hayat
pyas ki aag mein darta hun ki jal jaunga
This is a great sunehri shayari. True lovers of nagme shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this meri shararat shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close