main apne band kamre mein pada hun ki raushni bhi ujalon ki muntazir hai wo kone mein laga jala bhi thak gaya hai nili diwaren jo ummid ka ek zawiya banati thin khud ko parde se chhupati hain ki khidki se nazar aata barish ka khubsurat manzar mahzuz kun tha calender ke palatne par ab ram nazm bhi sunai nahin deti magar khidki par rasta banata hua pani wo bhi be-tab hai ki jhank le andar ki pahron kaun hai jo chup ki shama jalae khidki par pade pani ke qatron ko muqaddas se muqaddas jaanta hai ki ek ek qatra aansu se shabih hai ki barse to bahut barse wagarna qaht wajib hai