bare aai najat ki bari khul gaya uqda-e-giraftari hum ko mansab mila rihai ka qaid ko jaedad-e-bekari panw ko chhod bhage mar-e-do-sar sar ko pushtara-e-giranbari kuch thahra maqam-e-ghurbat se ab watan chalne ki hai tayyari rukhsat ai dostan-e-zindani alwida ai gham-e-giraftari arrahil ai mashaqqat-e-har-zor al-firaq ai hujum-e-na-chaari dal fe ain ai kitabat-e-qaid gaf mim ai hisab-e-sarkari dal chawal se kah do rukhsat hon pani mein dube ye namak khaari machhliyon se kaho ki hat ke saden ghas khode yahan ki tarkari chini barhama malai madrasi ahl-e-asham jangali tatari apne didar se maf karen apni baaton se den subuk-sari kale pani se hote hain rukhsat ashk-e-shadi hain aankhon se jari baithte hain jahaz duri par uthte hain langar-e-giranbari karam ai khizr al-madad ai nuh rahm ai fazl-e-hazrat-e-bari assalam ai kharosh-e-bahr-e-muhit assafar ai safina-e-jari zad-e-rah-e-safar tawakkul hai rahnumai ko us ki ghaffari hai irada ki fikr-e-sher karen taki ho dur ranj-e-bekari bas-ki barson raha hun zindan mein bhuli qasr-e-sukhan ki memari