![](http://cdn.pagalshayari.com/images/nazm/qanun-e-qudrat-ahmad-nadeem-qasmi-nazm-english.jpg)
galiyon ki shamen bujh gain aur shahr suna ho gaya bijli ka khamba tham kar banka sipahi so gaya tarikiyon ki dewiyan karne lagin sargoshiyan ek dhimi dhimi tan mein gane lagin khamoshiyan mashriq ke parbat se ware ubhrin ghataen yak-ba-yak angdaiyan lene lagin be-khud hawaen yak-ba-yak tare nigalti badliyan chaaron taraf chhane lagin chham-chham phuwaron ki jhadi dharti pe barsane lagin kutte achanak chaunk kar bhonken dubak kar so gae be-ras chachodi haddiyon ki lazzaton mein kho gae maen lapakti hain kahin bachche bilakte hain kahin aur khat lene ke liye budhe uchakte hain kahin ek sarsarahat si uthi lahrai tham kar rah gai har chiz ne aankhen malin har chiz jam kar rah gai phir gungunati zulmaton ka sehr har-su chha gaya baadal kahin gum hogae taron pe jauban aa gaya qudarat ke sab chhote bade qanun hain yaksan magar parde pade hain ja-ba-ja chhanti nahin jin se nazar insan ka masum dil tarik suna shahr hai jis ke tale ehsas ki chingariyon ki lahar hai jab dekhta hai wo kahin badmast panghat waliyan galon ko jin ke chumti hain patli patli baaliyan zulfen ghataon ki tarah aankhen sitaron ki tarah chalna hawaon ki tarah rangat shararon ki tarah lahnge ki lahron ke tale makkhan se panw raqs mein pagdandiyon ke us taraf gagar ki chhanw raqs mein sine chhalakte mai-kade aur hont paimanon ke lab takhnon pe bajti jhanjhnen hansna-hansana be-sabab ye dekh kar angdaiyan leta hai dil insan ka aur us ki har dhadkan pe hota hai guman tufan ka galiyon mein chhup jati hain jab ye chalti-phirti bijliyan hota hai tari ruh par sunsan raaton ka saman
This is a great kudrat ki shayari. True lovers of hasna mana hai shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore change shayari. Please share if you liked this!!!