dur tak har taraf raste raste raste sab ke sab kitne sunsan hain kitne viran hain chand suraj ghata phul baad-e-saba koi bhatki sada naghmagi aur nawa ya koi naqsh-e-pa dur tak kuchh nahin dur tak dur tak ta-ba-hadd-e-nazar koi saya nahin aisa lagta hai sadiyon se is shahr mein ek musafir bhi bhule se aaya nahin