bol ki lab aazad hain tere bol zaban ab tak teri hai dekh ki tere arz-e-watan mein qasba qasba qarya qarya aaj ye kaisa hashr bapa hai shahron shahron ganw ganw mod mod par gali gali mein lashon ka ambar saja hai qadam qadam par dast-e-sitam mein tegh-e-jafa hai marka-ha-e-jurm-o-saza hai dekh ki tere sehn-e-chaman ka patta patta buta buta khun mein apne lat-pat lat-pat khauf-e-khizan se shakh-e-nahaalan larzan larzan sumbul-o-raihan gham se hirasan ghuncha ghuncha hairan hairan gosha gosha chappa chappa qatl-e-bahaaran qatl-e-bahaaran ruh pareshan jism figaran jaan pasheman khwab se har tabir gurezan ujda khandar suna manzar bewa panchhi zakhmi tair uryan khanjar khunin dharti kala suraj gila ambar jangal jangal khauf aur dahshat sahra sahra wahshat wahshat tank ki aamad top ki harakat jang ki lanat qaht ka saya bhuk ki aandhi aur bekari aur bad-chalani aur bimari tan ki tijarat man ki hazimat dhan ki hukumat bhuki sita nangi mariyam murda gautam para-para shisha-e-hurmat reza reza qasr-e-tamaddun dhajji dhajji amn ka parcham bol ki lab aazad hain tere