mujhe hosh kab tha ki ye meri khushiyan ghamon ke falak par hain barsat mein ek qaus-e-quzah jhapakte hi aankhen sabhi rang ghaeb aur ab jab ki qaus-e-quzah mit chuki hai har ek samt se ek ek kar ke baadal gham-alud baadal chale aa rahe hain khuda jaane main kyon pareshan nahin hun ye kya majra hai