chalo ek raat to guzri chalo saffak zulmat ke badan ka ek tukda to kata aur waqt ki be-intihai ke samundar mein koi tabut girne ki sada aai ye mana raat aankhon mein kati ek ek pal but sa ban kar jam gaya ek sans to ek sadi ke baad phir se sans lene ka khayal aaya ye sab sach hai ki raat ek karb-e-be-payan thi lekin karb hi takhliq hai ai pau phate ke dilruba lamho gawahi do yunhi katti chali jaengi raaten aur phir wo aaftab ubhrega jo apni shuaon se abad ko raushni bakhshega phir koi andheri dharti ko na chhu paega danayan-e-mazhab ke mutabiq hashr aa jaega lekin hashr bhi ek karb hai har karb ek takhliq hai ai pau phate ke dilruba lamho gawahi do