qurb-e-ilahi

main tha qurb-e-ilahi se shad-o-magan
us se mahw-e-sukhan

ki achanak wahin
han haram ke qarib

ek masum bachchi ne dekha mujhe
us ki nazron mein to

hasrat-o-yas thi
ek zamane ki shayad

wahan pyas thi
man ki mamta ki pyas

baba-jaani ki pyas
ghar ke aangan ki pyas

khush-libasi ki pyas
khane pani ki pyas

khoe bachpan ki pyas
kuchh ladakpan ki pyas

gahne kangan ki pyas
us ki aankhon ne mujh se sabhi kah diya

us ne honton ko hilne ki zahmat na di
pet pale hai wo

topiyan bech kar
suraton ko miyan

kuchh ana bech kar
apne sar pe wo chadar sajae hue

dhul mitti se khud ko bachae hue
sau sawalon ko khud mein samae hue

pair tapti zamin par jamae hue
dhanpti hai wo logon ke

sar aur badan
bandhe sar pe kafan

mere dil ne kaha
shafqat-e-bap kya hai bata de ise

man ki mamta kahin se bhi la de ise
khwahishen puri hon

sari pyasen bujhen
aab-e-zam-zam kuchh aisa pila de ise

us ke chehre se phir meri nazren hatin
aur achanak main phir qibla-ru ho gaya

hath uthe dua ko ki ai kibriya
tere ghar mein to bas nur hi nur hai

par tere sahn mein
kitni mayus nannhi si ek hur hai

us ki chadar ko pur-nur kar de khuda
us ke gham sare tu dur kar de khuda

teri rahmat ke daman mein kya kuchh nahin
tere aangan mein kab se dua-go hai ye

ai khuda tere aangan mein kya kuchh nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close