main ne dekhi hain kisi chehre mein aisi aankhen jin mein mere kai anjaane sawalon ke jawab aisi aasani se sachchai ke dar kholte hain aasmanon mein zaminon ke sanam bolte hain main ne jaana hai ki lafzon ke tilismi dhage kaise tarikh ko unwan nae dete hain kaise aa milte hain sadiyon ki judai ke asir kis tarah khwab nae aks saja lete hain yunhi is hairat-e-hasti ki panahon mein kahin zindagi sab ke liye apne hunar kholti hai han magar khas qadam uthte hain rahon mein tabhi ye zamin chand sitaron se udhar dolti hai aur is samt jo dekhun wo nazar bolti hai main bhala kaun hun kirdar hun kis khake ka mere hone se jahan bhar ko musibat kya hai kaise dozakh ka pata mangti hun us ke ewaz meri hasti ki zamane mein haqiqat kya hai main ne dekha hai mera kal kisi guzre pal mein main ne jaana hai kahan mera qadam thahra hai us ke imroz ko dekha hai to ye ilm hua meri taqdir mere farda mein rakkha kya hai