phir chali hai rail station se lahraati hui nim-shab ki khamushi mein zer-e-lab gati hui dagmagati jhumti siti bajati khelti wadi o kohsar ki thandi hawa khati hui tez jhonkon mein wo chham chham ka surud-e-dil-nashin aandhiyon mein meinh barasne ki sada aati hui jaise maujon ka tarannum jaise jal-pariyon ke git ek ek lai mein hazaron zamzame gati hui naunihaalon ko sunati mithi mithi loriyan nazninon ko sunahre khwab dikhlati hui thokaren kha kar lachakti gungunati jhumti sarkhushi mein ghungruon ki tal par gati hui naz se har mod par khati hui sau pech-o-kham ek dulhan apni ada se aap sharmati hui raat ki tarikiyon mein jhilmilati kanpti ptriyon par dur tak simab jhalkati hui jaise aadhi raat ko nikli ho ek shahi baraat shadyanon ki sada se wajd mein aati hui muntashir kar ke faza mein ja-ba-ja chingariyan daman-e-mauj-e-hawa mein phul barsati hui tez-tar hoti hui manzil-ba-manzil dam-ba-dam rafta rafta apna asli rup dikhlati hui sina-e-kohsar par chadhti hui be-ikhtiyar ek nagan jis tarah masti mein lahraati hui ek sitara tut kar jaise rawan ho arsh se rifat-e-kohsar se maidan mein aati hui ek bagule ki tarah badhti hui maidan mein jangalon mein aandhiyon ka zor dikhlati hui rasa-bar-andam karti anjum-e-shab-tab ko aashiyan mein tair-e-wahshi ko chaunkati hui yaad aa jae purane dewtaon ka jalal un qayamat-kheziyon ke sath bal khati hui ek rakhsh-e-be-inan ki barq-raftari ke sath khandaqon ko phandti tilon se katraati hui murgh-zaron mein dikhati ju-e-shirin ka khiram wadiyon mein abr ke manind mandlati hui ek pahadi par dikhati aabshaaron ki jhalak ek bayaban mein charagh-e-tur dikhlati hui justuju mein manzil-e-maqsud ki diwana-war apna sar dhunti faza mein baal bikhraati hui chhedti ek wajd ke aalam mein saz-e-sarmadi ghaiz ke aalam mein munh se aag barsati hui rengti mudti machalti tilmilati hanpti apne dil ki aatish pinhan ko bhadkati hui khud-ba-khud ruthi hui biphri hui bikhri hui shor-e-paiham se dil-e-giti ko dhadkati hui pul pe dariya ke dama-dam kaundti lalkarti apni is tufan-angezi pe itraati hui pesh karti bich naddi mein charaghan ka saman sahilon par ret ke zarron ko chamkati hui munh mein ghusti hai surangon ke yakayak daud kar dandanati chikhti chinghadti gati hui aage aage justuju-amez nazren dalti shab ke haibatnak nazzaron se ghabraati hui ek mujrim ki tarah sahmi hui simti hui ek muflis ki tarah sardi mein tharraati hui tez-e-raftar ke sikke jamati ja-ba-ja dasht o dar mein zindagi ki lahar daudati hui dal kar guzre manazir par andhere ka naqab ek naya manzar nazar ke samne lati hui safha-e-dil se mitati ahd-e-mazi ke nuqush haal o mustaqbil ke dilkash khwab dikhlati hui dalti be-his chatanon par haqarat ki nazar koh par hansti falak ko aankh dikhlati hui daman-e-tariki-e-shab ki udati dhajjiyan qasr-e-zulmat par musalsal tir barsati hui zad mein koi chiz aa jae to us ko pis kar irtiqa-e-zindagi ke raaz batlati hui zoam mein peshani-e-sahra pe thokar marti phir subuk-raftariyon ke naz dikhlati hui ek sarkash fauj ki surat alam khole hue ek tufani garaj ke sath daraati hui ek ek harkat se andaz-e-baghawat aashkar azmat-e-insaiyat ke zamzame gati hui har qadam par top ki si ghan-garaj ke sath sath goliyon ki sansanahat ki sada aati hui wo hawa mein saikadon jangi duhal bajte hue wo bigul ki jaan-fazan aawaz lahraati hui al-gharaz udti chali jati hai be-khauf-o-khatar shair-e-atish-nafas ka khun khaulati hui