raat ki aankh mein ek khanjar uga raat kali hai ujli hai pili hai nili hai ya phir raat ka koi rang hi nahin hai magar jo bhi ho raat kali hai aisa samajh lijiye raat kali hai bahti hai jaise nadi andhe pani ki kohre ki ya dhund ki raat ki aankh mein ek khanjar uga ek wahshi parinde ne khanjar ka bosa liya nok-e-khanjar parinde ki aankhon mein sazish ka nasha macha khwab ki dhund andhi nadi zard shoala bani aur bahti rahi phir kahin zard rangon ke patthar ki barish parae shahr mein rawana hui rahaton ke makan ke munderon se rahat ke kawwe uthe shor ki kankari se kuen bhi bhare aaina aaina si faza bhi jali ek qisse ki anti purani nai phir kahin bum ka aashiyana bani raat ki aankh mein ek khanjar uga