rah-e-watan mein

rah-e-watan mein qadam se qadam mila ke chalo
nishan-e-azmat-e-hindostan utha ke chalo

rah-e-watan mein qadam se qadam mila ke chalo
badho dilon mein azaem ki bijliyan le kar

labon pe himmat-o-mehnat ki dastan le kar
har ek mauj-e-masaib se khelte guzro

ajal bhi samne aae to muskura ke chalo
rah-e-watan mein qadam se qadam mila ke chalo

bhula do bughz-o-adawat ki dastanon ko
jala do firqa-parasti ke aashiyanon ko

har ek samt bikhero khulus ke naghme
dilon mein jazba-e-mehr-o-wafa jaga ke chalo

rah-e-watan mein qadam se qadam mila ke chalo
kuchh aur bazm-e-watan ko sanwarna hai abhi

kuchh aur apne chaman ko nikhaarna hai abhi
ye ghaflaton ka zamana nahin watan walo

dikhao josh-e-amal ghaflaten mita ke chalo
rah-e-watan mein qadam se qadam mila ke chalo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close