ye hamara shahr jo shahr-e-'kalim'-o-'shad' hai dost is ka aaj-kal charkh-e-sitam-ijad hai ek zamana tha ki ganga ka ye ham-saya nagar sher-o-hikmat ke liye tha dars-gah-e-mo'tabar bhai-chaara aur rawa-dari ka tha har-su riwaj apne apne shughl mein masruf rahta tha samaj shaeran-e-khush-nawa din raat aate the nazar gungunate sher kahte har gali ke mod par aise be-fikron ko jin ki taba mauzun hi na thi shauq tha kankawwe-bazi ka, bajae-shaeri mulk mein tahrik-e-azadi ka aaya daur jab mashghale tafrih ke, dhunde gae kuchh aur tab thi kabhi to bhuk-hadtal strike, mar-dhad aur kabhi thi nare-bazi dhar ise us ko pichhad baad-e-azadi nai masrufiyat ka dar khula nim to hai nim hi us par karaila bhi chadha ek nai tahrik aai le ke kuchh tabdiliyan yani ab tafrih ka saman-e-nau hain railiyan jis tarah hon khetiyon par hamla-awar tiddiyan yunhi ahl-e-shahr ke haq mein hain lanat railiyan kursiyon se jo siyasat-zad-gan mahrum hain railiyan un ke liye ba-maqsad o mafhum hain rang-daron ko mila kar bhid ikatthi ki gai chappa chappa par gali-kuchon ke jo qabiz hui dafatan mafluj ho kar rah gaya har kaam-kaj shahr mein chalta raha kuchh der tak rawan ka raj ittifaqan gar koi dukan khuli pai gai khub ji bhar ke wo luti aur jalwai gai har dar-o-diwar ke niche khatalon ki qatar bich sadkon par maweshi aur ghalazat ki bahaar aur is manzar ke pichhe raili-bazon ka hujum tujh ko le aaya kahan ai shahr tera bakht-e-shum