jab se abba ke chehre ko lakwa mar gaya tha aur dada ko dil ka daura ziyaada-tar wo ghar ke andar rahte aapas hi mein baaten karte waqt bitate bahar ke sab kaam bade bhayya ki zimmedari bagh baghiche court kacheri aur patwari fasl ugate haari apne ghar ke mardane ka haal bura tha har kamre mein kath kabad makdi jale kis ko fursat kaun use ab dekhe-bhaale lekin ek kamre ke dar par jab dekho ek qufl pada hai darwaza bhi khub bada hai ek din main ne puchh liya phir aakhir is ke andar kya hai man honton par ungli rakh kar boli shas shas shas abba ne bhi rah dikhai jao beta ja kar khelo main ne pair patakh kar puchha aakhir kya hai is kamre ke andar hire moti chandi sona ya phir koi aur khilauna aakhir kya hai is kamre ke andar dada ne hunkara bhar kar dhundle shishon ki ainak se ghur ke dekha abba ne phir dant pilai bhayya aur baji ne bazu pakde mujh ko mere kamre mein la patkha ek din bhayya shor-o-ghul ki aawazon ko sath liye kuchh khaufzada se ghabrae se ghar mein aa kar apne kamre mein ghus baithe shor-o-ghul ke sath hi abba ke aur dada-ji ke namon ki takrar duhai sath mein fariyaadi ki chikhen jis ne wo ek baat bata di jis ko bhayya sharm aur khauf ke mare apne munh se kuchh din aur na kahte aisa manzar pahle bhi hum dekh chuke the lekin abba aur dada ke ghusse mal-o-daulat ki barsat ke hathon fariyaadi ki chikhen bahar bahar dafn ho jatin lekin is din fariyaadi ki chikhen lal haweli ki diwaren tod ke andar tak aa pahunchi thin shor-sharaba sun kar be-zari se abba ne dada ko dekha baisakhi par bojh ko lada dada-ji dil pakde pakde ulte qadmon abba ke qadmon par chalte aag ugalti aankhen le kar mardane hisse mein pahunche main bhi chhupta-chhupata sath tha un ke pichhe pichhe qufl-zada kamre tak pahuncha kamra bhi us roz khula tha lekin un ko hosh kahan tha kuchh hi der mein bap aur beta abba aur dada abba pathrile chehron ke upar lutf-o-karam ka khol chadha tha honton par muskan sajae amn ki dewi ka didar karaati aankhon ko hamrah liye kamre se nikle main jo kath-kabad ke pichhe chhup baitha tha betabi se khali kamre mein ja pahuncha andar main ne jo kuchh dekha dekh ke us ko meri aankhen sadme aur hairat se apne halqon se bahar thin farsh ke upar be-dhakkanon ke tin bade sanduq rakhe the sanduqon par dada abba aur bhayya ke nam likhe the phati-purani odhniyon se dada aur abba ke donon hi sanduq bhare the bhayya ke sanduq se atki rang-birangi ek chunariya farsh tale fariyaad-kunan thi dada abba aur abba se ya phir us se jo apna hai ghair nahin insaf mein jis ke der nahin andher nahin har-su haha-kar macha tha bahar sara ganw jama tha