ye lahu surkhi hai aazadi ke afsane ki ye shafaq-rang lahu rang laega shahidon ka lahu jis ke har qatre mein khurshid kai jis ki har bund mein ek subh nai dur jis subh-e-darakhshan se andhera hoga raat kat jaegi gul-rang sawera hoga rang laega shahidon ka lahu apni raftar ko ab aur zara tez karo apne jazbaat ko ab aur junun-khez karo ek do gam pe ab manzil-e-azadi hai aag aur khun ke udhar amn ki aabaadi hai khud-bakhud tut ke girti nahin zanjir kabhi badli jati hai badalti nahin taqdir kabhi rang laega shahidon ka lahu ye lahu surkhi hai aazadi ke afsane ki ye shafaq-rang lahu rang laega shahidon ka lahu