ruba wo diwangi de mujhe rachaun wo tando ki tut jae khamoshi khul jaen sile hue lab panw mere thirken to zamin khisak jae in qadmon tale jo lutf-andoz mujhe iza pahuncha ke maula wo barahnagi dekhi main ne jo dabiz poshakon mein chhupa li gai mujhe kaun sunta ki faislon ki kursi par mazur dimagh baithe the main ne dekha ahl-e-rijal ko past-qamaton ke ghere mein maskhare jab ismat-dari karte hain fikr-o-danish ki tab murda maashre ki be-hisi-o-bebasi ko main ne dekha hai mabud main ne sade-gale samaj mein mohabbat ko pamal hote hue dekha ruba wo diwangi de mujhe rachaun wo tando ki nishan bhi na rahen zamin-e-nahaq ke