agar pamal rahon par qadam rakhne ki aadat khatm ho jae masham-e-jaan mein khushbu ki bajae dard dar aae visal aamada shah-rahon pe furqat ka basera ho ek aisa waqt aa jae jo tera ho na mera ho mohabbat ki sunahri jhil par gham ki ghaneri raat chhai ho kinaron par faqat nam-dida tanhai ki kai ho chamakte paniyon par thartharaate aks kho jaen ru-pahli dhup mein sarsabz pagdandi achanak zard pad jae samundar ki namida ret par naqsh-e-qadam lahren nigal jaen wo aankhen jin mein sat-range sajile khwab rahte hain wahan aaseb bas jaen jo donon samt se saya-fagan pedon tale bhi chilchilati dhup phaili ho jahan har roz jaana ho to raste ruth jate hain