hum mohabbat ke kharabon ke makin waqt ke tul-e-alamnak ke parwarda hain ek tarik azal nur-e-abad se khali hum jo sadiyon se chale hain to samajhte hain ki sahil paya apni tahzib ki pakobi ka hasil paya hum mohabbat ke nihan-khanon mein basne wale apni pamali ke afsanon pe hansne wale hum samajhte hain nishan-e-sar-e-manzil paya hum mohabbat ke ke kharabon ke makin kunj-e-mazi mein hain baran-zada tair ki tarah aasuda aur kabhi fitna-e-nagah se dar kar chaunken to rahen sidd-e-nigah nind ke bhaari parde hum mohabbat ke kharabon ke makin! aaise tarik kharabe ki jahan dur se tez palat jaen ziya ke aahu ek bas ek sada gunjti ho shab-e-alam ki yahu! yahu hum mohabbat ke kharabon ke makin reg-e-diroz mein khwabon ke shajar bote rahe saya napaid tha sae ki tamanna ke tale sote rahe