mere kamre ki khidki ke bahar hawa chikhti hai bada shor hai sitiyan baj rahi hain chamak dhup ki band khidki ke shishe se andar chali aa rahi hai hawaen faza mein bahe ja rahi hain mere har taraf shor hi shor hai magar ek be-nam basti muhib aur pur-shor sannaton se jaan-ba-lab hai khidkiyan khol do ye unchi bahut unchi diwaren dha do mujhe pankh de kar hawa mein uda do mujhe wadiyon kohsaron chaman-zaron ki khushbuon mein sama jaane do hawa ban ke har su bikhar jaane do mujhe is samundar ki gahraiyon mein utar jaane do mere kamre ki khidki ke bahar hawa chikhti hai bada shor hai sitiyan baj rahi hain chamak dhup ki band khidki ke shishe se andar chali aa rahi hai hawaen faza mein bahe ja rahi hain